Laiq Aajiz

baadshahi ho ki daryuza-gari ka mausam

Laiq Aajiz

bādshāhī ho ki daryūza-garī kā mausam
bhūltā hī nahīñ vo ham-safarī kā mausam
khetiyāñ chhāloñ kī hotī thiiñ lahū ugte the
kitnā zarḳhez thā vo dar-badarī kā mausam
hirz-e-jāñ Thahre jo sahrā meñ Thikāna mil jaa.e
bastiyoñ meñ to hai āshufta-sarī kā mausam
aao zaḳhmoñ se phir ik baar lipaT kar ro leñ
varna aane ko hai ab baḳhiya-garī kā mausam
roz-e-avval se hai chhāyā huā mujh par ab tak
kirchiyāñ hone kā shaqq-ul-basharī kā mausam
ab kabhī lauT kar aa.egā na shāyad 'ājiz'
Duub kar piine kā dāman kī tarī kā mausam
Top Urdushayar.com