sabā ye bārgah-e-husn meñ ḳhabar karnā
use to chāhiye zarroñ ko bhī qamar karnā
meñ chāhtā huuñ ta.alluq ke darmiyāñ parda
vo chāhtā hai mire haal par nazar karnā
mire ḳhudā mirī duniyā hī ḳhatm kar denā
agar duāoñ ko merī tū be-asar karnā
ye dekh lenā mohalle ke log kaise haiñ
phir is ke ba.ad hī ta.amīr apnā ghar karnā
tumhārā kaam hai kīchaḌ uchhālnā lekin
hamāre zarf meñ shāmil hai darguzar karnā
mirī hayāt se hai pyaar is liye 'ājiz'
vo chāhtā hai mirī umr muḳhtasar karnā