dushmanoñ ko dost bhaa.ī ko sitamgar kah diyā
log kyuuñ barham haiñ kyā shīshe ko patthar kah diyā
is liye mujh ko amīr-e-shahr ne dī hai sazā
maiñ ne ḳhud ko ḳhādim-e-sibt-e-payambar kah diyā
chaḌhte sūraj kī parastish meñ sabhī masrūf the
mujh se jab pūchhā gayā allāhu-akbar kah diyā
kitne sāda-lauh haiñ ye sab safīran-e-junūñ
rāhzan bhī mil gayā to us ko rahbar kah diyā
ho gayā dushman bhī mere hausle kā mo'tarif
mujh ko dariyā-e-havādis kā shanāvar kah diyā
sher kahne meñ mujhe 'ājiz' maza aane lagā
us ne jab be-sāḳhta mujh ko suḳhan-var kah diyā