Jagdeesh Raj Figar

maine jab tab jidhar jidhar dekha

Jagdeesh Raj Figar

maiñ ne jab tab jidhar jidhar dekhā
apnī sūrat kā hī bashar dekhā
ret meñ dafn the makān jahāñ
un pe miTTī kā bhī asar dekhā
jab sukūnat thī merī barzaḳh meñ
nek rūhoñ kā ik nagar dekhā
jo barahna mudām rahtā thā
maiñ ne malbūs vo shajar dekhā
apne maslak pe gāmzan thā jab
raushnī ko bhī ham-safar dekhā
mujh pe thā har vajūd kā saaya
dhuup ko jab barahna-sar dekhā
mujh ko ehsās bartarī kā huā
rif.atoñ ko jab ik nazar dekhā
jis kī tauhīn kī sitāroñ ne
maiñ ne aisā bhī ik qamar dekhā
us ke ruḳh par mirā hī partav thā
maiñ ne jis ko bhī ik nazar dekhā
us kī rūdād buum se pūchho
jo bhī kuchh us ne rāt-bhar dekhā
merī chiḌiyoñ se thī rifāqat kyā
saaf suthrā jo apnā ghar dekhā
dekhnā thā ki dev sā bhī huuñ
chaḌh ke kandhoñ pe apnā sar dekhā
aatmā se jo rābta thā mirā
zaat apnī meñ īshvar dekhā
bahr-o-bar se vo muḳhtalif thā 'figār'
maiñ ne manzar jo auj par dekhā
Top Urdushayar.com