Jagdeesh Raj Figar

tapish se bhag kar pyasa gaya hai

Jagdeesh Raj Figar

tapish se bhaag kar pyāsā gayā hai
samundar kī taraf sahrā gayā hai
kuaañ maujūd hai jal bhī mayassar
vo mere ghar se kyuuñ tishna gayā hai
dobāra ruuh us meñ phūñk do tum
badan jo phir akelā aa gayā hai
zamāñ apnī ravish par to hai qaa.em
magar lamhāt meñ farq aa gayā hai
safar meñ tāza-dam hogā vo kaise
jo ghar hī se thakā-māñda gayā hai
banā hogā ḳhas-o-ḳhāshāk se vo
jo nabh jaltā huā dekhā gayā hai
mujhe lahroñ kī kashtī par biThā kar
bhañvar kī khoj meñ dariyā gayā hai
zamīñ se bhī tavaqqo kuchh hai aisī
dimāġh-e-charḳh jab chakrā gayā hai
jo utrā arsh kā ik ek tabqa
zamīñ par dā.era bantā gayā hai
na fikr-e-varta thī us ko zarā bhī
vo kashtī ziist kī khetā gayā hai
'figār' us meñ vajūd us kā milegā
jo jūyāñ bahr kā qatra gayā hai
Top Urdushayar.com