zahar detā hai koī koī davā detā hai
jo bhī miltā hai mirā dard baḌhā detā hai
kisī hamdam kā sar-e-shām ḳhayāl aa jaanā
niiñd jaltī huī āñkhoñ kī uḌā detā hai
pyaas itnī hai merī ruuh kī gahrā.ī meñ
ashk girtā hai to dāman ko jalā detā hai
kis ne maazī ke darīchoñ se pukārā hai mujhe
kaun bhūlī huī rāhoñ se sadā detā hai
vaqt hī dard ke kāñToñ pe sulā.e dil ko
vaqt hī dard kā ehsās miTā detā hai
'naqsh' rone se tasallī kabhī ho jaatī thī
ab tabassum mire hoñToñ ko jalā detā hai