Naqsh Layalpuri

apni bhigi hui palkon pe saja lo mujhko

Naqsh Layalpuri

Lyallpur, Punjab, Pakistan

1928-2017
apnī bhīgī huī palkoñ pe sajā lo mujh ko
rishta-e-dard samajh kar hī nibhā lo mujh ko
chuum lete ho jise dekh ke tum ā.īna
apne chehre kā vahī aks banā lo mujh ko
maiñ huuñ mahbūb añdheroñ kā mujhe hairat hai
kaise pahchān liyā tum ne ujālo mujh ko
chhāñv bhī dūñgā davāoñ ke bhī kaam ā.ūñgā
niim kā paudā huuñ āñgan meñ lagā lo mujh ko
dostoñ shīshe kā sāmān samajh kar barsoñ
tum ne bartā hai bahut ab to sambhālo mujh ko
ga.e sūraj kī tarah lauT ke aa jā.ūñgā
tum se maiñ ruuTh gayā huuñ to manā lo mujh ko
ek ā.īna huuñ ai 'naqsh' maiñ patthar to nahīñ
TuuT jā.ūñgā na is tarah uchhālo mujh ko
Top Urdushayar.com