abhī tak saañs lamhe bun rahī hai
samundar se purānī dostī hai
ye jo āñkhoñ meñ ik duniyā khaḌī hai
isī meñ kuchh haqīqat rah ga.ī hai
nahīñ pahchānā us ne jab se mujh ko
zamīñ kuchh ajnabī sī lag rahī hai
havā mujh se bahut hī bad-gumāñ hai
magar mujh se hī lag kar chal rahī hai
isī ko apnā sarmāya samajh lo
agar kuchh aas baaqī rah ga.ī hai
jo kal tak sirf mere naam meñ thī
vo ḳhushbū aaj tujh ko yaad bhī hai