tamām-umr chalā huuñ magar chalā na gayā
tirī galī kī taraf koī rāsta na gayā
tire ḳhayāl ne pahnā shafaq kā pairāhan
mirī nigāh se rañgoñ kā silsila na gayā
baḌā ajiib hai afsāna-e-mohabbat bhī
zabāñ se kyā ye nigāhoñ se bhī kahā na gayā
ubhar rahe haiñ fazāoñ meñ sub.h ke āsār
ye aur baat mire dil kā Dūbnā na gayā
khule darīchoñ se aayā na ek jhoñkā bhī
ghuTan baḌhī to havāoñ se dostāna gayā
kisī ke hijr se aage baḌhī na umr mirī
vo raat biit ga.ī 'naqsh' ratjagā na gayā