maiñ duniyā kī haqīqat jāntā huuñ
kise miltī hai shohrat jāntā huuñ
mirī pahchān hai sher-o-suḳhan se
maiñ apnī qadr-o-qīmat jāntā huuñ
terī yādeñ haiñ shab-bedāriyāñ haiñ
hai āñkhoñ ko shikāyat jāntā huuñ
maiñ rusvā ho gayā huuñ shahar-bhar meñ
magar kis kī badaulat jāntā huuñ
ġhazal phūloñ sī dil sahrāoñ jaisā
maiñ ahl-e-fan kī hālat jāntā huuñ
taḌap kar aur taḌpā.egī mujh ko
shab-e-ġham terī fitrat jāntā huuñ
sahar hone ko hai aisā lage hai
maiñ sūraj kī siyāsat jāntā huuñ
diyā hai 'naqsh' jo ġham zindagī ne
use maiñ apnī daulat jāntā huuñ