Naqsh Layalpuri

mana teri nazar mein tera pyar hum nahin

Naqsh Layalpuri

Lyallpur, Punjab, Pakistan

1928-2017
maanā tirī nazar meñ tirā pyaar ham nahīñ
kaise kaheñ ki tere talabgār ham nahīñ
sīñchā thā jis ko ḳhūn-e-tamannā se rāt-din
gulshan meñ us bahār ke haqdār ham nahīñ
ham ne to apne naqsh-e-qadam bhī miTā diye
lo ab tumhārī raah meñ dīvār ham nahīñ
ye bhī nahīñ ke uThtī nahīñ ham pe uñgliyāñ
ye bhī nahīñ ke sāhab-e-kirdār ham nahīñ
kahte haiñ rāh-e-ishq meñ baḌhte hue qadam
ab tujh se duur manzil-e-dushvār ham nahīñ
jāneñ musāfirān-e-rah-e-ārzū hameñ
haiñ sañg-e-mīl raah kī dīvār ham nahīñ
pesh-e-jabīn-e-ishq usī kā hai naqsh-e-pā
us ke sivā kisī ke parastār ham nahīñ
Top Urdushayar.com