palaT kar dekh lenā jab sadā dil kī sunā.ī de
merī āvāz meñ shāyad mirā chehra dikhā.ī de
mohabbat raushnī kā ek lamha hai magar chup hai
kise sham-e-tamannā de kise dāġh-e-judā.ī de
chubheñ āñkhoñ meñ bhī aur ruuh meñ bhī dard kī kircheñ
mirā dil is tarah toḌo ke ā.īna badhā.ī de
khanak uTTheñ na palkoñ par kahīñ jalte hue aañsū
tum itnā yaad mat aao ke sannāTā duhā.ī de
rahegā ban ke bīnā.ī vo murjhā.ī sī āñkhoñ meñ
jo būḌhe baap ke hāthoñ meñ mehnat kī kamā.ī de
mire dāman ko vus.at dī hai tū ne dasht-o-dariyā kī
maiñ ḳhush huuñ dene vaale tū mujhe katrā ke raa.ī de
kisī ko maḳhmalīñ bistar pe bhī mushkil se niiñd aa.e
kisī ko 'naqsh' dil kā chain TuuTī chārpā.ī de