Shakeel Gwaliari

shahr ka shahr jaanta hai mujhe

Shakeel Gwaliari

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1936
shahr kā shahr jāntā hai mujhe
shahr ke shahr se gila hai mujhe
merā bas ek hī Thikānā hai
maiñ kahāñ jā.ūñgā patā hai mujhe
raushnī meñ kahīñ ugal degā
merā saaya nigal gayā hai mujhe
ban gayā huuñ gunāh kī tasvīr
koī chhup chhup ke dekhtā hai mujhe
rāste bhī to so ga.e hoñge
apne bistar pe jāgnā hai mujhe
us kī bāteñ samajh rahā huuñ maiñ
vo bhī lafzoñ meñ taultā hai mujhe
ye natīja hai āgahī kā 'shakīl'
aaj kal ik junūn sā hai mujhe
Top Urdushayar.com