ġhalat hai sab to ye rusvā.ī kaisī
jo parbat ban ga.ī vo raa.ī kaisī
kabhī ḳhālī samundar kar ke dekheñ
nazar aatī hai ki gahrā.ī kaisī
lagā hai chāñd ko ye daaġh kaisā
chhupī hai daaġh meñ ye khaa.ī kaisī
mirī ye baat sun leñ dūrbīneñ
nahīñ hoñ aañkh to bīnā.ī kaisī
usī kī zaat ke haiñ sab karishme
buzurgoñ phir ye hāthā-pā.ī kaisī
agar baiThā nahīñ ho saañp us par
koī daulat nahīñ hai bhaa.ī kaisī
mirā to naam hī ġhā.eb hai ab ke
ye us ne dāstāñ dohrā.ī kaisī