terī āñkhoñ pe ghane ḳhvāboñ kā pahra huuñ maiñ
is ta.alluq se hī kis darja sunahrā huuñ maiñ
log kyuuñ ghuur ke sachchā.ī mujhe dekhte haiñ
aisā lagtā hai ki jaise tirā chehra huuñ maiñ
ḳhud ko kho doge mirī tah talak aate aate
lafz huuñ lafz samundar se bhī gahrā huuñ maiñ
tū udhar ḳhat mirā paḌhtī hai to lagtā hai mujhe
terī āñkhoñ ke hasīñ shahr meñ Thahrā huuñ maiñ
ek patthar huuñ agar tujh se kahīñ duur huuñ
tujh se chhū jā.ūñ to sad-ḳhushbū kā lahrā huuñ maiñ