Shakeel Gwaliari

main hi kashti bhi hun mallah bhi tufan bhi hun

Shakeel Gwaliari

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1936
maiñ hī kashtī bhī huuñ mallāh bhī tūfān bhī huuñ
aur ab Duub rahā huuñ to pareshān bhī huuñ
maiñ jo auroñ ko dikhātā huuñ is ā.īne meñ
apnā chehra nazar aayā hai to hairān bhī huuñ
haal ye kaisā faqīroñ sā banā rakkhā hai
kaun kah degā kisī vaqt kā sultān bhī huuñ
bāryābī kī tamannā meñ paḌā huuñ dar par
baiThā hotā to samajh letā ki darbān bhī huuñ
be-bulā.e chalā aatā maiñ na kahtā tujh se
aaj to mehrbāñ ho jā tirā mehmān bhī huuñ
aaj tak merī ġhazal ne nahīñ pahchānā mujhe
jabki shā.ir hī nahīñ sāhab-e-dīvān bhī huuñ
Top Urdushayar.com