Shakeel Gwaliari

hum Thaharne ke nahin umr-e-rawan rakhte hain

Shakeel Gwaliari

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1936
ham Thaharne ke nahīñ umr-e-ravāñ rakhte haiñ
vo zamīñ ghūmtī hai paañv jahāñ rakhte haiñ
dekhte sab haiñ magar band zabāñ rakhte haiñ
is tarah shahr meñ ham amn-o-amāñ rakhte haiñ
dil laraztā hai to Darte haiñ kahīñ TuuT na jaa.e
shāḳh par ek hī to barg-e-ḳhizāñ rakhte haiñ
DhūñD letā hai har ek shaḳhs hameñ ham shāyad
apne hone kā kahīñ koī nishāñ rakhte haiñ
kyuuñ nahīñ ḳhāna-ba-doshoñ kī tarah jī lete
rehn rakhne ke liye ham bhī makāñ rakhte haiñ
bhuul jā paḌh ke purānoñ kī purānī bāteñ
ab vo sarmāya na.e log kahāñ rakhte haiñ
ishq kī ibtidā aur intihā ham se pūchho
phuul ko chuum ke kāñToñ pe zabāñ rakhte haiñ
Top Urdushayar.com