Shakeel Gwaliari

KHwabon ki rahguzar se KHayalon ki rah se

Shakeel Gwaliari

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1936
ḳhvāboñ kī rahguzar se ḳhayāloñ kī raah se
tujh tak pahuñch rahā huuñ ujāloñ kī raah se
maiñ jāntā huuñ rāsta ġhazloñ ke shahr kā
aayā huuñ chal ke zohra-jamāloñ kī raah se
maiñ rafta rafta karb kī manzil tak aa gayā
dil kā qarār DhūñDne vāloñ kī raah se
be-shakl kaifiyat ke haiñ chehre judā judā
kuchh baat ban rahī hai misāloñ kī raah se
afsānoñ kī bayāz meñ afsāna hī to hai
kuchh merā tazkira bhī havāloñ kī raah se
pahuñchā huuñ us ke dard kī gahrā.ī tak 'shakīl'
uljhe hue se chand savāloñ kī raah se
Top Urdushayar.com