na sirf ye ki zamāne kā Dhab dikhā.ī de
ġhazal to vo hai ki andar kā sab dikhā.ī de
badan kī us ke kasāvaT hī kyā qayāmat hai
kisī libās meñ dekho ġhazab dikhā.ī de
maiñ apnī iid manā luuñ mujhe kisī se kyā
na jaane phir vo mirā chāñd kab dikhā.ī de
maiñ us ko dekhūñ kuchh aisā ki dekh bhī na sakūñ
vo apne aap meñ chhup jaa.e jab dikhā.ī de
koī batā.e sahar ko kahāñ talāsh karūñ
jab āsmān bhī bairūn-e-shab dikhā.ī de
'shakīl' husn-e-talab kā mo.āmla hai vahāñ
vo kāmyāb hai jo be-talab dikhā.ī de