koī dekhe adhūrā-pan hamārā
ki ghar bhī hai to be-āñgan hamārā
inheñ hargiz na roko kholne do
inhī bachchoñ meñ hai bachpan hamārā
abhī kuchh aur sāñsoñ kī havā do
sulagtā rah gayā hai tan hamārā
tumheñ bhī le chale pardes sājan
zarā lagne lagā thā man hamārā
tum aa jaao hare ho jā.eñge ham
harā-pan le gayā sāvan hamārā
har ek jānib se chhīñTeñ aa rahe haiñ
magar be-dāġh hai dāman hamārā