ġham kā sūraj kabhī Dhaltā hī nahīñ
āsmāñ rañg badaltā hī nahīñ
de diyā jaatā hai qabza dil par
dil to siine se nikaltā hī nahīñ
kahte haiñ ūñchī uḌānoñ vaale
jo girā phir vo sambhaltā hī nahīñ
hai ḳhushāmad hī se aamad lekin
vo ḳhushāmad se pighaltā hī nahīñ
gaañv bhar ḳhauf-zada hai us se
jo kabhī ghar se nikaltā hī nahīñ
kisī insān kā dil ho ki charāġh
be jalā.e kabhī jaltā hī nahīñ
ḳhāmushī hai to baḌī chiiz magar
kaam chup rahne se chaltā hī nahīñ
shā.irī kar ke bhī dekhā hai 'shakīl'
dil meñ kuchh hai jo nikaltā hī nahīñ