zinda vo apne saath ke bīmār bhī nahīñ
marte raho ki ab koī ġham-ḳhvār bhī nahīñ
aksar ḳhayāl-e-zulf se TuuTā sukūt-e-shab
zanjīr ab nahīñ hai to jhankār bhī nahīñ
hamsā.egī pe us kī bahut naaz hai hameñ
dīvār se lagī huī dīvār bhī nahīñ
dāman kā chaak chāk-e-garebāñ se jā mile
ab āshiqī kā ye koī meyār bhī nahīñ
āñkhoñ meñ aa gayā hai lahū ho ke apnā dil
us kī taraf se vāda-e-dīdār bhī nahīñ
us ke kahe se de mujhe dozaḳh hī ai ḳhudā
a.amāl se to aisā gunahgār bhī nahīñ