Shakeel Gwaliari

kab marhala-e-gham se guzarna nahin hota

Shakeel Gwaliari

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1936
kab marhala-e-ġham se guzarnā nahīñ hotā
pal-bhar ko savārī se utarnā nahīñ hotā
uḌne do mirī ḳhaak sameToge kahāñ tak
yakjā hī na hotā jo bikharnā nahīñ hotā
chhat se kabhī utrā to nazar aayā falak par
ziine se kabhī us kā utarnā nahīñ hotā
duniyā kā koī kaam ho āsān se āsān
honā ho to hotā hai vagarna nahīñ hotā
laatā huuñ samajh soch ke har baat zabāñ par
kahtā huuñ vahī jis se mukarnā nahīñ hotā
ek-ādh koī sher ka.ī saal meñ kahtā
jaldī hī mujhe kyā thī jo marnā nahīñ hotā
Top Urdushayar.com