ham par jitne vaar hue bharpūr hue
ham se pūchho kaise chaknāchūr hue
sanjīda logoñ kā jiinā mushkil hai
khel tamāshe duniyā kā dastūr hue
merī nazar meñ jaise pahle the ab ho
kaun sī daulat pā kar tum maġhrūr hue
ye to gulistānoñ meñ roz ke qisse haiñ
phuul khile khil kar shāḳhoñ se duur hue
ham ne 'shakīl' ik chhoTī sī nādānī se
shohrat paa.ī ḳhuub bahut mash.hūr hue