raqs-e-hastī ke phisal jaane kā andesha hai
baaġh hāthoñ se nikal jaane kā andesha hai
ab to vo sur bhī lagtā hai hamārā mutrib
raag jis sur pe badal jaane kā andesha hai
raat ko ḳhauf mirā chāñd koī chhīn na le
chāñd ko raat ke Dhal jaane kā andesha hai
buuñd bhar tel bachā hai to diyā gul kar do
varna bastī ke bhī jal jaane kā andesha hai
us kā apnā koī aa jā.egā le jā.egā
aaj ruk jaa.e to kal jaane kā andesha hai
is zamīñ par bhī lagā leñge koī peḌ ustād
haath se ye bhī ġhazal jaane kā andesha hai