zahr-e-ġham ḳhuub piyā ham ne sharāboñ se bache
jhel kar kitne azāboñ ko azāboñ se bache
sochne baiTheñ to soche hī chale jaate haiñ
ḳhauf kāñToñ kā ajab thā ki gulāboñ se bache
kitne ma.asūm the chehre nahīñ dekhe tum ne
vo jo rah kar bhī naqāboñ meñ naqāboñ se bache
jāgtā ho to na dekhe koī mahloñ kī taraf
kis tarah soyā huā aadmī ḳhvāboñ se bache
is hikāyat meñ koī jhuuT na kar de shāmil
is meñ sachchā.ī agar hai to kitāboñ se bache
kaash ulaT de koī sahrā meñ samundar lā kar
qāfila Duub hī jaa.e to sarāboñ se bache