Shakeel Gwaliari

aawazon ke jal bichhae jate hain

Shakeel Gwaliari

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1936
āvāzoñ ke jaal bichhā.e jaate haiñ
khone vaale ab kyā paa.e jaate haiñ
achchhe achchhe logoñ kī kyā pūchhte ho
yaad kiye jaate haiñ bhulā.e jaate haiñ
hañs hañs kar jo phuul khilā.e the tum ne
is mausam meñ sab murjhā.e jaate haiñ
sūraj jaise jaise Dhaltā jaatā hai
us kī dīvāroñ tak saa.e jaate haiñ
rishtoñ par ik aisā vaqt bhī aatā hai
suljhā suljhā kar uljhā.e jaate haiñ
phir us ne rāhoñ meñ phuul bichhā.e haiñ
ham jaise phir Thokar khaa.e jaate haiñ
apne dāman par haiñ 'shakīl' apne aañsū
log magar ehsān jatā.e jaate haiñ
Top Urdushayar.com