ham kab us raah se guzarte haiñ
apnī āvārgī se Darte haiñ
kashtiyāñ Duub bhī to saktī haiñ
Duub kar bhī to paar utarte haiñ
toḌ kar rishta-e-ḳhulūs ahbāb
āñsuoñ kī tarah bikharte haiñ
apne ehsās kī kasauTī par
ham bhī puure kahāñ utarte haiñ
chāhe kaisā hī daur aa jaa.e
apne hālāt kab sañvarte haiñ
sat.h par haiñ hubāb ke ḳheme
Dūbne vaale kab ubharte haiñ
ek hālat pe ham nahīñ rahte
jam.a hote haiñ phir bikharte haiñ
zindagī tere naam kar dī thī
ab tirā naam le ke marte haiñ
rañj o rāhat kī kashmakash meñ 'shakīl'
umr ke qāfile guzarte haiñ