jaan kī baarī hai ab dil kā ziyāñ aisā na thā
ḳhair jo kuchh bhī huā ham ko gumāñ aisā na thā
saḳht jaisī ab hai qadmoñ meñ zamīñ aisī na thī
sar pe jaisā ab hai bhārī āsmāñ aisā na thā
ik zamāna ho gayā is raah se guzre hue
ye galī aisī nahīñ thī ye makāñ aisā na thā
thā ḳhas-o-ḳhāshāk kī mānind apnā hī vajūd
sirf ham par hī girī hoñ bijliyāñ aisā na thā
us kināre kā tasavvur meñ bhī aanā hai muhāl
thā to pahle se samundar be-karāñ aisā na thā
apnī nākāmī to pahle se muqaddar thī 'shakīl'
ham pe kuchh mushkil rahā ho imtihāñ aisā na thā