vo kahāñ qasr-e-ālī-shān meñ ḳhush
ham ġharīboñ ke haiñ gumnām meñ ḳhush
duur se dekhne se lagte haiñ
sab sitāre haiñ āsmān meñ ḳhush
dhuup usī rāste meñ aatī hai
ek darvāza hai makān meñ ḳhush
rāh-gīroñ ko rok letī hai
chārpā.ī hai sā.ebān meñ ḳhush
TukḌe TukḌoñ meñ baT ga.ī duniyā
kuchh purāne haiñ ḳhāndān meñ ḳhush
kāġhazoñ par saje sunahre ḳhvāb
log hote rahe plan meñ ḳhush
ho salīqa agar baratne kā
lafz rahte haiñ har zabān meñ ḳhush