ik aas kā diyā to dil meñ jalāte jaao
kis moḌ par miloge ye to batāte jaao
us dar se jā mileñge ye jitne rāste haiñ
kāñTe haTāte jaao kaliyāñ bichhāte jaao
patthar meñ bhī chhupā hai naġhmāt kā ḳhazāna
ye shart hai ki us tak tum gungunāte jaao
jab mai-kade se lauTo phir kyā kisī se chhupnā
jab mai-kade ko jaao chhupte chhupāte jaao
ai munkirīn-e-ulfat maiñ us kī yaad meñ huuñ
ek ek aate jaao īmān laate jaao
jaldī bhī kyā hai āḳhir itnī 'shakīl'-sāhab
ab aa.e ho to sab se milte-milāte jaao