Shakeel Gwaliari

ye silsila ghamon ka na jaane kahan se hai

Shakeel Gwaliari

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1936
ye silsila ġhamoñ kā na jaane kahāñ se hai
ahl-e-zamīñ ko shikva magar āsmāñ se hai
yādoñ kī rahguzār se ḳhvāboñ ke shahr tak
ik silsila zarūr hai lekin kahāñ se hai
merī kitāb-e-zīst ko aise na pheñkiye
raushan kisī kā naam isī dāstāñ se hai
manzil na paa.ī maiñ ne magar ye to khul gayā
rishta mire safar kā kisī kārvāñ se hai
mausam kī her-pher ne sābit ye kar diyā
kuchh mere jism kā bhī ta.alluq makāñ se hai
kahne ko log kyā nahīñ kahte 'shakīl' ko
sunñe kā ishtiyāq tumhārī zabāñ se hai
Top Urdushayar.com