Zubair Ali Tabish

baiThe-baiThe ek dam se chaunkati hai

Zubair Ali Tabish

Nandurbar, Maharashtra, India

1987
baiThe-baiThe ik dam se chauñkātī hai
yaad tirī kab dastak de kar aatī hai
titlī ke jaisī hai merī har ḳhvāhish
haath lagāne se pahle uḌ jaatī hai
mere sajde raaz nahīñ rahne vaale
us kī chaukhaT māthe ko chamkātī hai
ishq meñ jitnā bahko utnā hī achchhā
ye gumrāhī manzil tak pahuñchātī hai
pahlī pahlī baar ajab sā lagtā hai
dhīre dhīre aadat sī ho jaatī hai
tum us ko bhī samjhā kar pachhtāoge
vo bhī mere hī jaisī jazbātī hai
Top Urdushayar.com