Zubair Ali Tabish

bhare hue jam par surahi ka sar jhuka to bura lagega

Zubair Ali Tabish

Nandurbar, Maharashtra, India

1987
bhare hue jaam par surāhī kā sar jhukā to burā lagegā
jise terī aarzū nahīñ tū use milā to burā lagegā
ye aisā rasta hai jis pe har koī bārhā laḌkhaḌā rahā hai
maiñ pahlī Thokar ke baad hī gar sambhal gayā to burā lagegā
maiñ ḳhush huuñ us ke nikālne par aur itnā aage nikal chukā huuñ
ke ab achānak se us ne vāpas bulā liyā to burā lagegā
ye āḳhirī kañpkañpātā jumla ki is ta.alluq ko ḳhatm kar do
baḌe jatan se kahā hai us ne nahīñ kiyā to burā lagegā
na jaane kitne ġhamoñ ko piine ke ba.ad tābish chaḌhī udāsī
kisī ne aise meñ aa ke ham ko hañsā diyā to burā lagegā
Top Urdushayar.com