Zubair Ali Tabish

wo pas kya zara sa muskura ke baiTh gaya

Zubair Ali Tabish

Nandurbar, Maharashtra, India

1987
vo paas kyā zarā sā muskurā ke baiTh gayā
maiñ is mazāq ko dil se lagā ke baiTh gayā
jab us kī bazm meñ dār-o-rasan kī baat chalī
maiñ jhaT se uTh gayā aur aage aa ke baiTh gayā
daraḳht kaaT ke jab thak gayā lakaḌ-hārā
to ik daraḳht ke saa.e meñ jā ke baiTh gayā
tumhāre dar se maiñ kab uThnā chāhtā thā magar
ye merā dil hai ki mujh ko uThā ke baiTh gayā
jo mere vāste kursī lagāyā kartā thā
vo merī kursī se kursī lagā ke baiTh gayā
phir us ke ba.ad ka.ī log uTh ke jaane lage
maiñ uTh ke jaane kā nusḳha batā ke baiTh gayā
Top Urdushayar.com