rāste jo bhī chamak-dār nazar aate haiñ
sab terī oḌhnī ke taar nazar aate haiñ
koī pāgal hī mohabbat se navāzegā mujhe
aap to ḳhair samajhdār nazar aate haiñ
maiñ kahāñ jā.ūñ karūñ kis se shikāyat us kī
har taraf us ke taraf-dār nazar aate haiñ
zaḳhm bharne lage haiñ pichhlī mulāqātoñ ke
phir mulāqāt ke āsār nazar aate haiñ
ek hī baar nazar paḌtī hai un par 'tābish'
aur phir vo hī lagātār nazar aate haiñ