kabhī sher-o-naġhma ban ke kabhī āñsuoñ meñ Dhal ke
vo mujhe mile to lekin mile sūrateñ badal ke
ye vafā kī saḳht rāheñ ye tumhāre pā-e-nāzuk
na lo intiqām mujh se mire saath saath chal ke
vahī aañkh be-bahā hai jo ġham-e-jahāñ meñ Duube
vahī jaam jaam hai jo baġhair farq chhalke
na to hosh se ta.āruf na junūñ se āshnā.ī
ye kahāñ pahuñch ga.e ham tirī bazm se nikal ke
ye charāġh-e-anjuman to haiñ bas ek shab ke mehmāñ
tū jalā vo sham.a ai dil jo bujhe kabhī na jal ke
koī ai 'ḳhumār' un ko mire sher nazr kar de
jo muḳhālifīn muḳhlis nahīñ mo'tarif ġhazal ke