ġham duniyā bahut īzā-rasāñ hai
kahāñ hai ai ġham-e-jānāñ kahāñ hai
ik aañsū kah gayā sab haal dil kā
na samjhā thā ye zālim be-zabāñ hai
ḳhudā mahfūz rakhte āfatoñ se
ka.ī din se tabī.at shādmāñ hai
vo kāñTā hai jo chubh kar TuuT jaa.e
mohabbat kī bas itnī dāstāñ hai
ye maanā zindagī kāmil hai lekin
agar aa jaa.e jiinā jāvedāñ hai
salām āḳhir hai ahl-e-anjuman ko
ḳhumār ab ḳhatm apnī dāstāñ hai