bujh gayā dil hayāt baaqī hai
chhup gayā chāñd raat baaqī hai
hāl-e-dil un se kah chuke sau baar
ab bhī kahne kī baat baaqī hai
ai ḳhushā ḳhatam-e-ijtināb magar
mahshar-e-iltifāt baaqī hai
ishq meñ ham samajh chuke sab se
ek zālim hayāt baaqī hai
nāsehān-e-karām ke dam se
shorish-e-kā.enāt baaqī hai
raat baaqī thī jab vo bichhḌe the
kaT ga.ī umr raat baaqī hai
rahmat-e-be-panāh ke sadqe
e'timād-e-najāt baaqī hai
na vo dil hai na vo shabāb 'ḳhumār'
kis liye ab hayāt baaqī hai