hañsne vaale ab ek kaam kareñ
jashn-e-girya kā ehtimām kareñ
ham bhī kar leñ jo raushnī ghar meñ
phir añdhere kahāñ qayām kareñ
mujh ko mahrūmī-e-nazzāra qubūl
aap jalve na apne aam kareñ
ik guzārish hai hazrat-e-nāseh
aap ab aur koī kaam kareñ
aa chaleñ us ke dar pe ab ai dil
zindagī kā safar tamām kareñ
haath uThtā nahīñ hai dil se 'ḳhumār'
ham unheñ kis tarah salām kareñ