pī pī ke jagmagā.e zamāne guzar ga.e
rātoñ ko din banā.e zamāne guzar ga.e
jān-e-bahār phuul nahīñ aadmī huuñ maiñ
aa jā ki muskurā.e zamāne guzar ga.e
kyā lā.iq-e-sitam bhī nahīñ ab maiñ dosto
patthar bhī ghar meñ aa.e zamāne guzar ga.e
o jaane vaale aa ki tire intizār meñ
raste ko ghar banā.e zamāne guzar ga.e
ġham hai na ab ḳhushī hai na ummīd hai na yaas
sab se najāt paa.e zamāne guzar ga.e
marne se vo Dareñ jo ba-qaid-e-hayāt haiñ
mujh ko to maut aa.e zamāne guzar ga.e
kyā kyā tavaqquāt thiiñ aahoñ se ai 'ḳhumār'
ye tiir bhī chalā.e zamāne guzar ga.e