aisā nahīñ ki un se mohabbat nahīñ rahī
jazbāt meñ vo pahlī sī shiddat nahīñ rahī
zof-e-quvā ne āmad-e-pīrī kī dī naved
vo dil nahīñ rahā vo tabī.at nahīñ rahī
sar meñ vo intizār kā saudā nahīñ rahā
dil par vo dhaḌkanoñ kī hukūmat nahīñ rahī
kamzorī-e-nigāh ne sanjīda kar diyā
jalvoñ se chheḌ-chhāḌ kī aadat nahīñ rahī
hāthoñ se intiqām liyā irti.āsh ne
dāmān-e-yār se koī nisbat nahīñ rahī
paiham tavāf-e-kūcha-e-jānāñ ke din ga.e
pairoñ meñ chalne phirne kī tāqat nahīñ rahī
chehre ko jhurriyoñ ne bhayānak banā diyā
ā.īna dekhne kī bhī himmat nahīñ rahī
allāh jaane maut kahāñ mar ga.ī 'ḳhumār'
ab mujh ko zindagī kī zarūrat nahīñ rahī