mujh ko shikast-e-dil kā mazā yaad aa gayā
tum kyuuñ udaas ho ga.e kyā yaad aa gayā
kahne ko zindagī thī bahut muḳhtasar magar
kuchh yuuñ basar huī ki ḳhudā yaad aa gayā
vaa.iz salām le ki chalā mai-kade ko maiñ
firdaus-e-gum-shuda kā patā yaad aa gayā
barse baġhair hī jo ghaTā ghir ke khul ga.ī
ik bevafā kā ahd-e-vafā yaad aa gayā
māñgeñge ab duā ki use bhuul jaa.eñ ham
lekin jo vo ba-vaqt-e-duā yaad aa gayā
hairat hai tum ko dekh ke masjid meñ ai 'ḳhumār'
kyā baat ho ga.ī jo ḳhudā yaad aa gayā