jhunjhlā.e haiñ lajā.e haiñ phir muskurā.e haiñ
kis ehtimām se unheñ ham yaad aa.e haiñ
dair-o-haram ke habs-kadoñ ke satā.e haiñ
ham aaj mai-kade kī havā khāne aa.e haiñ
ab jā ke aah karne ke ādāb aa.e haiñ
duniyā samajh rahī hai ki ham muskurā.e haiñ
guzre haiñ mai-kade se jo tauba ke ba.ad ham
kuchh duur ādatan bhī qadam laḌkhaḌā.e haiñ
ai josh-e-girya dekh na karnā ḳhajil mujhe
āñkheñ mirī zarūr haiñ aañsū parā.e haiñ
ai maut ai bahisht-e-sukūñ aa ḳhush-āmdīd
ham zindagī meñ pahle pahal muskurā.e haiñ
jitnī bhī mai-kade meñ hai saaqī pilā de aaj
ham tishna-kām zohd ke sahrā se aa.e haiñ
insān jīte-jī kareñ tauba ḳhatāoñ se
majbūriyoñ ne kitne farishte banā.e haiñ
samjhāte qabl-e-ishq to mumkin thā bantī baat
nāseh ġharīb ab hameñ samjhāne aa.e haiñ
ka.abe meñ ḳhairiyat to hai sab hazrat-e-'ḳhumār'
ye dair hai janāb yahāñ kaise aa.e haiñ