Khumar Barabankavi

kabhi jo maine masarrat ka ehtimam kiya

Khumar Barabankavi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1919-1999
kabhī jo maiñ ne masarrat kā ehtimām kiyā
baḌe tapāk se ġham ne mujhe salām kiyā
hazār tark-e-ta.alluq kā ehtimām kiyā
magar jahāñ vo mile dil ne apnā kaam kiyā
zamāne vāloñ ke Dar se uThā na haath magar
nazar se us ne ba-sad ma.azarat salām kiyā
kabhī hañse kabhī aaheñ bharīñ kabhī ro.e
ba-qadr-e-martaba har ġham kā ehtirām kiyā
hamāre hisse kī mai kaam aa.e pyāsoñ ke
ze-rāh-e-ḳhair gunāh-e-shikast-e-jām kiyā
tulū-e-mahr se bhī ghar kī tīrgī na ghaTī
ik aur shab kaTī yā maiñ ne din tamām kiyā
duā ye hai na hoñ gumrāh ham-safar mere
'ḳhumār' maiñ ne to apnā safar tamām kiyā
Top Urdushayar.com