tū chāhiye na terī vafā chāhiye mujhe
kuchh bhī na tere ġham ke sivā chāhiye mujhe
marne se pahle shakl hī ik baar dekh luuñ
ai maut zindagī kā patā chāhiye mujhe
yā rab muaaf kar ke na de karb-e-infi.āl
maiñ ne ḳhatā.eñ kī haiñ sazā chāhiye mujhe
ḳhāmoshi-e-hayāt se uktā gayā huuñ maiñ
ab chāhe dil hī TuuTe sadā chāhiye mujhe
un mast mast āñkhoñ meñ aañsū are ġhazab
ye ishq hai to qahr-e-ḳhudā chāhiye mujhe
nāseh nasīhatoñ kā zamāna guzar gayā
ab pyāre sirf terī duā chāhiye mujhe
har dard ko davā kī zarūrat hai ai 'ḳhumār'
jo dard ḳhud ho apnī davā chāhiye mujhe