kyā huā husn hai ham-safar yā nahīñ
ishq manzil hī manzil hai rasta nahīñ
do parinde uḌe aañkh nam ho ga.ī
aaj samjhā ki maiñ tujh ko bhūlā nahīñ
tark-e-mai ko abhī din hī kitne hue
kuchh kahā mai ko zāhid to achchhā nahīñ
har nazar merī ban jaatī zanjīr-e-pā
us ne jaate hue muḌ ke dekhā nahīñ
chhoḌ bhī de mirā saath ai zindagī
mujh ko tujh se nadāmat hai shikva nahīñ
tū ne tauba to kar lī magar ai 'ḳhumār'
tujh ko rahmat pe shāyad bharosa nahīñ