ham unheñ vo hameñ bhulā baiThe
do gunahgār zahr khā baiThe
hāl-e-ġham kah ke ġham baḌhā baiThe
tiir maare the tiir khā baiThe
āñdhiyo jaao ab karo ārām
ham ḳhud apnā diyā bujhā baiThe
jī to halkā huā magar yaaro
ro ke ham lutf-e-ġham gañvā baiThe
be-sahāroñ kā hausla hī kyā
ghar meñ ghabrā.e dar pe aa baiThe
jab se bichhḌe vo muskurā.e na ham
sab ne chheḌā to lab hilā baiThe
ham rahe mubtalā-e-dair-o-haram
vo dabe paañv dil meñ aa baiThe
uTh ke ik bevafā ne de dī jaan
rah ga.e saare bā-vafā baiThe
hashr kā din abhī hai duur 'ḳhumār'
aap kyuuñ zāhidoñ meñ jā baiThe