Khumar Barabankavi

husn jab mehrban ho to kya kijiye

Khumar Barabankavi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1919-1999
husn jab mehrbāñ ho to kyā kījiye
ishq ke maġhfirat kī duā kījiye
is salīqe se un se gila kījiye
jab gila kījiye hañs diyā kījiye
dūsroñ par agar tabsira kījiye
sāmne aa.ina rakh liyā kījiye
aap sukh se haiñ tark-e-ta.alluq ke ba.ad
itnī jaldī na ye faisla kījiye
zindagī kaT rahī hai baḌe chain se
aur ġham hoñ to vo bhī atā kījiye
koī dhokā na khā jaa.e merī tarah
aise khul ke na sab se milā kījiye
aql o dil apnī apnī kaheñ jab 'ḳhumār'
aql kī suniye dil kā kahā kījiye
Top Urdushayar.com