vo sivā yaad aa.e bhulāne ke ba.ad
zindagī baḌh ga.ī zahr khāne ke ba.ad
dil sulagtā rahā āshiyāne ke ba.ad
aag ThanDī huī ik zamāne ke ba.ad
raushnī ke liye dil jalānā paḌā
aisī zulmat baḌhī tere jaane ke ba.ad
jab na kuchh ban paḌā arz-e-ġham kā javāb
vo ḳhafā ho ga.e muskurāne ke ba.ad
dushmanoñ se pashemān honā paḌā
dostoñ kā ḳhulūs āzmāne ke ba.ad
rañj had se guzar ke ḳhushī ban gayā
ho ga.e paar ham Duub jaane ke ba.ad
baḳhsh de yā rab ahl-e-havas ko bahisht
mujh ko kyā chāhiye tujh ko paane ke ba.ad
kaise kaise gile yaad aa.e 'ḳhumār'
un ke aane se qabl un ke jaane ke ba.ad